Wednesday, December 3, 2008

My Mom

yaad ata hai vo lamha...............
jab ma bachpan me mujhe god me uthati thi
mere liye roz ek khilona kharid lati thi
puri raat jagkar mujhe pyar se sulati thi
meri kilkariyo se vo nind se jaag jati thi
mere nanhe pero ko vo naazo se sehlati thi
rone lagta jab me to mujhe god me le chup karati thi
mere liye roz roz naye kapde banati thi
khud ke liye kuch na lekar bas mujhe hi sajati thi
mere ek ansu se maa ki sanse tham jati thi
mere liye alag alag khane ki chize banati thi
khud khaye na khaye par mujhe jarur khilati thi
thoda bada hone par mujhe school chod aati thi
no kam aane par kheech ke chata lagati thi
fir pyar se mujhe padne ki ahmiyat samjhati thi
jab milta mujhe medal to khushi se fuli nahi samati thi
number kam aate hi teacher se ladne chali jaati thi
koi mujhe sataye to uski shamat a jati thi
maa mujhe jindagi pe chalne ki raah dikhati thi
ab ho gaya hu me bada par ma ka pyar vahi hai
maa ki mamta me aaj bhi koi fark nahi hai
aaj bhi vo mujhe duniya ki har khushi dena chahti hai
aaj bhi samne naa hone par unhe meri yaad satati hai
bina bole hi vo meri har baat samajh jati hai
meri har khwahish ko kehne se pehle pura karna chahti hai
par aaj vo mujh par apni marzi nahi thopti hai
mujhe apni rah khud chunne ki izazat deti hai
meri kabiliyat par vishwas hai unhe
meri kamiyabi par naaz hai unhe
meri kisi pasand se nahi aitraaz hai unhe
kyoki mujhse bahut hi pyar hai unhe
and so i love my dearest mom

No comments:

Post a Comment